Zindagi ke raastein mein bahot aage nikal aaye,
School aur college ko ab hum kafi peeche chod aaye...
Paise kamane ki majboori me hum dosti ko bhool aaye,
Hum to apni zindagi ko peeche hi bhool aaye...
Manzilon ka pata nahi, bas chalte jaa rahe hain..
Girne ke baad bhi uthkar aage badhe jaa rahe hain...
Izzat kamane ki majboori me hum khushiyon ko bhool aaye,
Hum to apni zindagi ko peeche hi bhool aaye...
Vo chutti maarke ghumne jaana, vo dosto ke saath milkar aish karna..
Vo ghanto baithkar gappe maarna, har ek paise ka hisaab rakhna...
Dusro ko khush karne ki majboori me hum in palon ko bhool aaye,
Hum to apni zindagi ko peeche hi bhool aaye..
Zaruri kaamon ko karte karte kahin thak na jaayein,
Dil me adhuri khwahishein lekar kahin afsos na reh jaayein...
Zindagi ka pata nahi, aage ho na ho,
Aao dosto hamari dosti hum fir se jee aayein...